Shayari
kinaare hi se tufaan kaa tamaashaa dekhne vaale
kinaare se kabhi andaaza-e-tufaan nahin hotaa
tiri duuri kaa mujh ko gham nahin hai
ki furqat mein bhi lazzat kam nahin hai
تری دوری کا مجھ کو غم نہیں ہے
کہ فرقت میں بھی لذت کم نہیں ہے
तिरी दूरी का मुझ को ग़म नहीं है
कि फ़ुर्क़त में भी लज़्ज़त कम नहीं है

kinaare hi se tufaan kaa tamaashaa dekhne vaale
kinaare se kabhi andaaza-e-tufaan nahin hotaa
bahaar aate hi Takraane lage kyuun saaghar o miinaa
bataa ai pir-e-mai-khaana ye mai-khaanon pe kyaa guzri
chalte rahe ham tund havaaon ke muqaabil
'aazaad' charaagh-e-tah-e-daamaan na rahe ham
ik baar agar qafas ki havaa raas aa gai
ai khud-fareb phir havas-e-baal-o-par kahaan
niind kyaa hai zaraa si der ki maut
maut kyaa kyaa hai tamaam umr ki niind
is se ziyaada daur-e-junun ki khabar nahin
kuchh be-khabar se aap the kuchh be-khabar se ham
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kahin sher o naghma ban ke kahin aansuon mein Dhal ke
vo mujhe mile to lekin kai suratein badal ke
bechaini ke lamhe saansein patthar ki
sadiyon jaise din hain raatein patthar ki
vo jis ghamanD se bichhDaa gila to is kaa hai
ki saari baat mohabbat mein rakh-rakhaav ki thi