Shayari
ye bhuul bhi kyaa bhuul hai ye yaad bhi kyaa yaad
tu yaad hai aur koi nahin tere sivaa yaad
ishq se hai farogh-e-rang-e-jahaan
ibtidaa ham hain intihaa hain ham
عشق سے ہے فروغ رنگ جہاں
ابتدا ہم ہیں انتہا ہیں ہم
इश्क़ से है फ़रोग़-ए-रंग-ए-जहाँ
इब्तिदा हम हैं इंतिहा हैं हम

ye bhuul bhi kyaa bhuul hai ye yaad bhi kyaa yaad
tu yaad hai aur koi nahin tere sivaa yaad
tiraa vasl hai mujhe be-khudi tiraa hijr hai mujhe aagahi
tiraa vasl mujh ko firaaq hai tiraa hijr mujh ko visaal hai
dil ko is tarh dekhne vaale
dil agar be-qaraar ho jaae
ye kaaenaat ye bazm-e-zuhur kuchh bhi nahin
tiri nazar mein nahin hai jo nuur kuchh bhi nahin
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
baat karnaa pyaar ki aasaan se aasaan hai
ishq karnaa karte rahnaa hai kaThin se bhi kaThin
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin