Shayari
uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai
tujh se sau baar mil chuke lekin
tujh se milne ki aarzu hai vahi
تجھ سے سو بار مل چکے لیکن
تجھ سے ملنے کی آرزو ہے وہی
तुझ से सौ बार मिल चुके लेकिन
तुझ से मिलने की आरज़ू है वही

uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
us shaan-e-aajizi ke fidaa jis ne 'aarzu'
har naaz har ghurur ke qaabil banaa diyaa
bin maange mil rahaa ho to khvaahish fuzul hai
suraj se raushni ki guzaarish fuzul hai
hai kahaan tamannaa kaa dusraa qadam yaa-rab
ham ne dasht-e-imkaan ko ek naqsh-e-paa paayaa
hijr mein shiddat dikhaate hain sabhi 'aashiq magar
lutf tab hai vasl ho par aarzu baaqi rahe