Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
un ki kyaa baat jo hans hans ke lab-e-rangin se
phuul barsaane gae baagh lagaate aae
ان کی کیا بات جو ہنس ہنس کے لب رنگیں سے
پھول برسانے گئے باغ لگاتے آئے
उन की क्या बात जो हँस हँस के लब-ए-रंगीं से
फूल बरसाने गए बाग़ लगाते आए

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
charaagh-e-zindagi hogaa farozaan ham nahin honge
chaman mein aaegi fasl-e-bahaaraan ham nahin honge
gale se lagte hi jitne gile the bhuul gae
vagarna yaad thiin ham ko shikaayatein kyaa kyaa