Shayari
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
garche ahl-e-sharaab hain ham log
ye na samjho kharaab hain ham log
گرچہ اہل شراب ہیں ہم لوگ
یہ نہ سمجھو خراب ہیں ہم لوگ
गरचे अहल-ए-शराब हैं हम लोग
ये न समझो ख़राब हैं हम लोग

ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
un kaa jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
ruuh kis mast ki pyaasi gai mai-khaane se
mai uDi jaati hai saaqi tire paimaane se
is havaa mein kar rahe hain ham tiraa hi intizaar
aa kahin jaldi se saaqi shisha o saaghar samet
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
uD gae sab chaman ko rah gae ham
chaar tinkon kaa aashiyaan le kar