Shayari
chaahtaa huun phunk duun is shahr ko
shahr mein in kaa bhi ghar hai kyaa karun
aag kaa kyaa hai pal do pal mein lagti hai
bujhte bujhte ek zamaanaa lagtaa hai
آگ کا کیا ہے پل دو پل میں لگتی ہے
بجھتے بجھتے ایک زمانا لگتا ہے
आग का क्या है पल दो पल में लगती है
बुझते बुझते एक ज़माना लगता है

chaahtaa huun phunk duun is shahr ko
shahr mein in kaa bhi ghar hai kyaa karun
kaise maanein ki unhein bhuul gayaa tu ai 'kaif'
un ke khat aaj hamein tere sirhaane se mile
mai-kasho aage baDho tishna-labo aage baDho
apnaa haq maangaa nahin jaataa hai chhinaa jaae hai
ham na piyeinge bhiik ki saaqi
le ye tiraa paimaana paDaa hai
kyaa koi mohabbat mein yuun bhi benaam-o-nishaan ho jaataa hai
main huun ki abhi tak zinda huun duniyaa hai ki bhuli jaati hai
mat dekh ki phirtaa huun tire hijr mein zinda
ye puchh ki jiine mein maza hai ki nahin hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
tasaadum dekh kar afkaar-e-nau kaa jahl-e-dauraan se
sukhan raushan-khayaali kaa sunaanaa sakht mushkil hai
jaanch leti hain mohabbat ki nigaahein pal mein
naap le kar to sweater nahin bunte jaanaan
vaqt-e-rukhsat alvidaaa kaa lafz kahne ke liye
vo tire sukhe labon kaa thartharaanaa yaad hai
anaar-e-khuld ko tu rakh ki main pasand nahin
kuchein vo yaar ki rashk-e-anaar ai vaaiz