Shayari
chheDti hai mujhe aa aa ke miri aazaadi
go main qaidi huun mire paanv mein zanjir bhi hai
K
Kaleem Ahmadabadinaara-e-daar-o-rasan haadisa-e-kaun-o-makaan
khufta-jaanon ke liye khvaab-e-giraan hai ki nahin
نعرۂ دار و رسن حادثہ کون و مکاں
خفتہ جانوں کے لئے خواب گراں ہے کہ نہیں
नारा-ए-दार-ओ-रसन हादिसा-ए-कौन-ओ-मकाँ
ख़ुफ़्ता-जानों के लिए ख़्वाब-ए-गिराँ है कि नहीं
chheDti hai mujhe aa aa ke miri aazaadi
go main qaidi huun mire paanv mein zanjir bhi hai
jaane kyaa bhar di hain us ne is chaman mein shokhiyaan
jo bhi aayaa vo chaman kaa raaz-daan bantaa gayaa
tumhin bataao ki is dil kaa kyaa kiyaa jaae
jo choT khaa ke bhi choTon se aashnaa na huaa
sitaare toD liye ham ne zuhd-o-taqvaa ke
magar jo haqq-e-ibaadat thaa vo adaa na huaa
ham to baiThe hi rahe apni asiri ko liye
banne vaalaa kaam be-vahm-o-gumaan bantaa gayaa
gham natija hai khushi ki intihaa kaa ai 'kalim'
dil ki ik ik mauj mauj-e-shaadmaani ho to kyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hamaaraa ishq ravaan hai rukaavaTon mein 'zafar'
ye khvaab hai kisi divaar se nahin ruktaa
ye san kar meri nindein uD gai hain
koi meraa bhi sapnaa dekhtaa hai
par katar paai jab na khvaabon ke
band hi kar diin khiDkiyaan main ne
khvaab Thahre the to aankhein bhigne se bach gaiin
varna chehre par to gham ki baarishon kaa aks hai
andheri shab kaa ye khvaab-manzar mujhe ujaalon se bhar rahaa hai
to raat itni tavil kar de ki taa-qayaamat sahar na aae