Shayari
isi khaatir to qatl-e-aashiqaan se mana karte the
akele phir rahe ho yusuf-e-be-kaarvaan ho kar
dekhnaa hasrat-e-didaar ise kahte hain
phir gayaa munh tiri jaanib dam-e-murdan apnaa
دیکھنا حسرت دیدار اسے کہتے ہیں
پھر گیا منہ تری جانب دم مردن اپنا
देखना हसरत-ए-दीदार इसे कहते हैं
फिर गया मुँह तिरी जानिब दम-ए-मुर्दन अपना

isi khaatir to qatl-e-aashiqaan se mana karte the
akele phir rahe ho yusuf-e-be-kaarvaan ho kar
hai saaya chaandni aur chaand mukhDaa
dupaTTaa aasmaan-e-aasmaan hai
ku-e-jaanaan se jo uThtaa huun to so jaate hain paanv
dafatan aankhon se paanv mein utar aati hai niind
aayaa hai mire dil kaa ghubaar aansuon ke saath
lo ab to hui maalik-e-khushki-o-tari aankh
jab khafaa hotaa hai to yuun dil ko samjhaataa huun main
aaj hai naa-mehrbaan kal mehrbaan ho jaaegaa
main ne yusuf jo kahaa kyuun bigDe
mol le legaa koi bik jaaegaa?
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
us shaan-e-aajizi ke fidaa jis ne 'aarzu'
har naaz har ghurur ke qaabil banaa diyaa
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
abhi hain qurb ke kuchh aur marhale baaqi
ki tujh ko paa ke hamein phir tiri tamannaa hai
phunkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai khudaa
afsun-e-intizaar tamannaa kahein jise
meri khvaahish hai ki ji bhar ke use dekh to luun
hijr ke mumkina sadmaat se pahle pahle