Shayari
dosti kis se na thi kis se mujhe pyaar na thaa
jab bure vaqt pe dekhaa to koi yaar na thaa
kyaa shikva karein kunj-e-qafas kaa dil-e-muztar
ham ne to chaman mein bhi Tuk aaraam na paayaa
کیا شکوہ کریں کنج قفس کا دل مضطر
ہم نے تو چمن میں بھی ٹک آرام نہ پایا
क्या शिकवा करें कुंज-ए-क़फ़स का दिल-ए-मुज़्तर
हम ने तो चमन में भी टुक आराम न पाया

dosti kis se na thi kis se mujhe pyaar na thaa
jab bure vaqt pe dekhaa to koi yaar na thaa
jo koi aave hai nazdik hi baiThe hai tire
ham kahaan tak tire pahlu se sarakte jaavein
aasaan na samajhiyo tum nakhvat se paak honaa
ik umr kho ke ham ne sikhaa hai khaak honaa
aashnaa bevafaa nahin hotaa
bevafaa aashnaa nahin hotaa
itne aansu to na the dida-e-tar ke aage
ab to paani hi bharaa rahtaa hai ghar ke aage
sadaa aish dauraan dikhaataa nahin
gayaa vaqt phir haath aataa nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbaton ko kahin se madad nahin milti
ye jang aisi hai jis mein rasad nahin milti
mohabbatein to huiin aur tum se pahle bhi
magar jo tum se hui yaad karte rahte hain
ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar kaa qaabu
us ne jo aag lagaa di vo bujhaai na gai
aatish-e-ishq se bachiye ki yahaan ham ne bhi
mom ki tarah se patthar ko pighalte dekhaa