Shayari
hami akele nahin zindagi se haare hue
bahut se log khaDe hain badan utaare hue
mohabbaton ko kahin se madad nahin milti
ye jang aisi hai jis mein rasad nahin milti
محبتوں کو کہیں سے مدد نہیں ملتی
یہ جنگ ایسی ہے جس میں رسد نہیں ملتی
मोहब्बतों को कहीं से मदद नहीं मिलती
ये जंग ऐसी है जिस में रसद नहीं मिलती

hami akele nahin zindagi se haare hue
bahut se log khaDe hain badan utaare hue
mohabbat bojh ban kar hi bhale rahti ho kaandhon par
magar ye bojh haTtaa hai to kandhe Tuut jaate hain
sab log jo hairat se tujhe dekh rahe hain
sar teraa bahut chhoTaa hai dastaar baDi hai
tire baghair bhi kahti hai mujh se jiine ko
ye zindagi bhi sahi mashvara nahin deti
main khushbuon ke zikr pe khaamosh hi rahaa
haalaanki ek phuul mire haafize mein thaa
ehsaan kar rahaa hai tiraa hijr in dinon
main in dinon khudaa ke ziyaada qarib huun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jis bhi fankaar kaa shahkaar ho tum
us ne sadiyon tumhein sochaa hogaa
zakhm itne hain badan par ki kahin dard nahin
ham bhi pathraav mein patthar ke hue jaate hain
pinhaan hain sad-savaal pas-e-parda-e-hayaa
dil de diyaa javaab thaa lekin rahe khamosh