Shayari
kahein so kis se 'jahaandaar' us ki nazron mein
raqib kaam ke Thahre aur ham hain naa-kaare
tire ishq se jab se paale paDe hain
hamein apne jiine ke laale paDe hain
ترے عشق سے جب سے پالے پڑے ہیں
ہمیں اپنے جینے کے لالے پڑے ہیں
तिरे इश्क़ से जब से पाले पड़े हैं
हमें अपने जीने के लाले पड़े हैं

kahein so kis se 'jahaandaar' us ki nazron mein
raqib kaam ke Thahre aur ham hain naa-kaare
basaan-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-vafaa
uThaate sar nahin hargiz tabaah ke maare
mujh dil mein hai jo but ki parastish ki aarzu
dekhi nahin vo aaj talak barhaman ke biich
aakhir gil apni sarf-e-dar-e-mai-kada hui
pahunche vahaan hi khaak jahaan kaa khamir ho
ki dil ne dil-baraan-e-jahaan ki bahut talaash
kui dil-rubaa milaa hai na dil-khvaah kyaa kare
miraa khun-e-dil yuun bahaa dasht mein
ki jangal mein lohu ke thaale paDe
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tumhaaraa naam liyaa thaa kabhi mohabbat se
miThaas us ki abhi tak miri zabaan mein hai
ik baat kahein tum se khafaa to nahin hoge
pahlu mein hamaare dil-e-muztar nahin miltaa
main ne ik baar mohabbat se na dekhaa us ko
jis ne har baar mohabbat se mujhe dekhaa hai
mohabbaton mein to kuchh bhi pataa nahin lagtaa
bahut buraa hai vo phir bhi buraa nahin lagtaa