Shayari
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
jab mai-kada chhuTaa to phir ab kyaa jagah ki qaid
masjid ho madrasa ho koi khaanqaah ho
جب مے کدہ چھٹا تو پھر اب کیا جگہ کی قید
مسجد ہو مدرسہ ہو کوئی خانقاہ ہو
jab mai-kada chhuTā to phir ab kyā jagah kī qaid
masjid ho madrasa ho koī ḳhānqāh ho

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
1797–1869
View all quotes by Mirza Ghalibphir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par
dete hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
mere zakhmon kaa sabab puchhegi duniyaa tum se
main ne har zakhm ki pahchaan mein rakkhaa hai tumhein
'zarif' anjaam kyaa hogaa jo meraa dil bhi kho jaae
kahin aisaa na ho, mujh ko bhi filmi ishq ho jaae
kyunkar karun main tark sharaab-o-kabaab ko
zaahid hai yaad hukm-e-kulu-vashrabu mujhe
gardish-e-minaa-o-jaam dekhiye kab tak rahe
ham pe taqaazaa-e-haraam dekhiye kab tak rahe