Shayari
talaash is tarah bazm-e-aish mein hai be-nishaanon ki
koi kapDe mein jaise zakhm-e-sozan kaa nishaan DhunDhe
M
Mirza Mohammad Taqi Hawassad-chaak kiyaa pairhan-e-gul ko sabaa ne
jab vo na tiri khubi-e-poshaak ko pahunchaa
صد چاک کیا پیرہن گل کو صبا نے
جب وہ نہ تری خوبیٔ پوشاک کو پہنچا
सद-चाक किया पैरहन-ए-गुल को सबा ने
जब वो न तिरी ख़ूबी-ए-पोशाक को पहुँचा
talaash is tarah bazm-e-aish mein hai be-nishaanon ki
koi kapDe mein jaise zakhm-e-sozan kaa nishaan DhunDhe
aashnaa koi nazar aataa nahin yaan ai 'havas'
kis ko main apnaa anis-e-kunj-e-tanhaai karun
sab ham-safir chhoD ke tanhaa chale gae
kunj-e-qafas mein mujh ko giraftaar dekh kar
dekhein kyaa ab ke asiri hamein dikhlaati hai
log kahte hain ki phir fasl-e-bahaar aati hai
dil mein ik iztiraab baaqi hai
ye nishaan-e-shabaab baaqi hai
sahraa mein 'havas' khaar-e-mughilaan ki madad se
baare miraa khuun har khas-o-khaashaak ko pahunchaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham mujhe hasrat mujhe vahshat mujhe saudaa mujhe
ek dil de kar khudaa ne de diyaa kyaa kyaa mujhe
kaaghaz ki ye mahak ye nasha ruThne ko hai
ye aakhiri sadi hai kitaabon se 'ishq ki
kahaan pe khologe dard apnaa kise kahoge
kahin chhupaao, ye haal le kar kahaan chale ho