Shayari
sadiyon se kinaare pe khaDaa suukh rahaa hai
is shahr ko dariyaa mein giraa denaa chaahiye
maut na aai to 'alvi'
chhuTTi mein ghar jaaeinge
موت نہ آئی تو علویؔ
چھٹی میں گھر جائیں گے
मौत न आई तो 'अल्वी'
छुट्टी में घर जाएँगे

sadiyon se kinaare pe khaDaa suukh rahaa hai
is shahr ko dariyaa mein giraa denaa chaahiye
sardi mein din sard milaa
har mausam bedard milaa
andheraa hai kaise tiraa khat paDhun
lifaafe mein kuchh raushni bhej de
maanaa ki tu zahin bhi hai khub-ru bhi hai
tujh saa na main huaa to bhalaa kyaa buraa huaa
nazron se naaptaa hai samundar ki vusatein
saahil pe ik shakhs akelaa khaDaa huaa
aaj phir mujh se kahaa dariyaa ne
kyaa iraada hai bahaa le jaaun
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
us but ke nahaane se huaa saaf ye paani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariyaa nazar aayaa
muflison ki zindagi kaa zikr kyaa
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
maut kahte hain jis ko ai 'saaghar'
zindagi ki koi kaDi hogi
maut aa jaae yaa vo aa jaaein
aaj qissa tamaam ho jaae
tujhe bhi dekh liyaa ham ne o khudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhi to ahl-e-gham pe chalaa