Shayari
ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
subh-e-kaazib ki havaa mein dard thaa kitnaa 'munir'
rail ki siiTi baji to dil lahu se bhar gayaa
صبح کاذب کی ہوا میں درد تھا کتنا منیرؔ
ریل کی سیٹی بجی تو دل لہو سے بھر گیا
सुब्ह-ए-काज़िब की हवा में दर्द था कितना 'मुनीर'
रेल की सीटी बजी तो दिल लहू से भर गया

ik tez raad jaisi sadaa har makaan mein
logon ko un ke ghar mein Daraa denaa chaahiye
sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa
ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa
shaayad ki khudaa mein aur mujh mein
ik jast kaa aur faasla hai
tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz
mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa
jis ko milnaa nahin phir us se mohabbat kaisi
sochtaa jaaun magar dil mein basaae jaaun
laai hai ab uDaa ke gae mausamon ki baas
barkhaa ki rut kaa qahr hai aur ham hain dosto
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khush na ho aansuon ki baarish par
barq hai chashm-e-tar ke pahlu mein
shahr mein raunaqein sahi 'tanhaa'
apne gaanv se mat kinaaraa kar
gunaahon ne mujhe jakDaa huaa hai is tarah 'tanhaa'
ki lahza-bhar ibaadat bhi sazaa maalum hoti hai