Shayari
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
e'tibaaraat hain ye hasti-e-mauhumi ke
fil-haqiqat to koi khaan hai na navvaab hai yaan
اعتبارات ہیں یہ ہستیٔ موہومی کے
فی الحقیقت تو کوئی خاں ہے نہ نواب ہے یاں
ए'तिबारात हैं ये हस्ती-ए-मौहूमी के
फ़िल-हक़ीक़त तो कोई ख़ाँ है न नव्वाब है याँ

qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
yuun hai Dalak badan ki us pairahan ki tah mein
surkhi badan ki jaise chhalke badan ki tah mein
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
jangal mein Tesu phulaa aur baagh mein shagufa
fasl-e-bahaar aai mausam gayaa khizaan kaa
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar thaa
apne hisse ki koi shama jalaate jaate
kal yahi bachche samundar ko muqaabil paaeinge
aaj tairaate hain jo kaaghaz ki nannhi kashtiyaan
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae