Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
kahte ho ek-aadh ki hai mere haathon maut
ham bhi samajhte hain ye sunaate ho ham ko kyaa
کہتے ہو ایک آدھ کی ہے میرے ہاتھوں موت
ہم بھی سمجھتے ہیں یہ سناتے ہو ہم کو کیا
कहते हो एक-आध की है मेरे हाथों मौत
हम भी समझते हैं ये सुनाते हो हम को क्या

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
umr-bhar jis ke liye aankhein rahi hain farsh-e-raah
vo ajal kaa qaasid-e-farkhanda-gaam aa hi gayaa
kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
qatl ho to meraa saa maut ho to meri si
mere sogvaaron mein aaj meraa qaatil hai
chand alfaaz ke moti hain mire daaman mein
hai magar teri mohabbat kaa taqaazaa kuchh aur