Shayari
is havaa mein kar rahe hain ham tiraa hi intizaar
aa kahin jaldi se saaqi shisha o saaghar samet
mar chuke jis par ki marnaa thaa hamein
kar chuke jo kuchh ki karnaa thaa hamein
مر چکے جس پر کہ مرنا تھا ہمیں
کر چکے جو کچھ کہ کرنا تھا ہمیں
मर चुके जिस पर कि मरना था हमें
कर चुके जो कुछ कि करना था हमें

is havaa mein kar rahe hain ham tiraa hi intizaar
aa kahin jaldi se saaqi shisha o saaghar samet
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
kuchh TuuTe phaTe siine ko saath apne safar mein
kyaa vo bhi musaafir jo na rakkhe sui taagaa
misr ko chhoD ke aai hai jo hindustaan mein
mere yusuf ki zulekhaa tu kharidaar hai kyaa
'mushafi' karb-o-balaa kaa safar aasaan nahin
sainkaDon basra-o-baghdaad mein mar jaate hain
mahrum hai naama-daar-e-duniyaa
paani se tihi habaab dekhaa
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
us but ke nahaane se huaa saaf ye paani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariyaa nazar aayaa
kirshn 'mohan' ye bhi hai kaisaa akelaa-pan ki log
maut se Darte hain main to zindagi se Dar gayaa
maut se pahle jahaan mein chand saanson kaa azaab
zindagi jo qarz teraa thaa adaa kar aae hain
muflison ki zindagi kaa zikr kyaa
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
maut kahte hain jis ko ai 'saaghar'
zindagi ki koi kaDi hogi