Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
na aayaa shaam bhi ghar phir ke apne
tamaashaai-e-baazaar-e-mohabbat
نہ آیا شام بھی گھر پھر کے اپنے
تماشائی بازار محبت
न आया शाम भी घर फिर के अपने
तमाशाई-ए-बाज़ार-ए-मोहब्बत

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'aql aur 'ishq laDte rahe der tak
'aql maari gai 'ishq zinda rahaa
tujh ko haq hai tu dil dukhaa meraa
main tujhe pyaar bhi to kartaa huun
ye 'ishq jazba-e-ruhaaniyat hai maantaa huun
magar tu jism ki majburiyaan bhi samjhaa kar
kaun kahtaa hai bulandi pe nahin huun 'saaghar'
meri me'raaj-e-mohabbat miri rusvaai hai