Shayari
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
vo mazaaq-e-ishq hi kyaa ki jo ek hi taraf ho
miri jaan mazaa to jab hai ki tujhe bhi kal na aae
وہ مذاق عشق ہی کیا کہ جو ایک ہی طرف ہو
مری جاں مزا تو جب ہے کہ تجھے بھی کل نہ آئے
वो मज़ाक़-ए-इश्क़ ही क्या कि जो एक ही तरफ़ हो
मिरी जाँ मज़ा तो जब है कि तुझे भी कल न आए

ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
un kaa ik patlaa saa khanjar un kaa ik naazuk saa haath
vo to ye kahiye miri gardan khushi mein kaT gai
tum agar chaaho to miTTi se abhi paidaa hon phuul
main agar maangun to dariyaa bhi na de paani mujhe
zulf ko kyuun jakaD ke baandhaa hai
us ne bosa liyaa thaa gaal kaa kyaa
mire dil ne jhaTke uThaae hain kitne ye tum apni zulfon ke baalon se puchho
kaleje ki choTon ko main kyaa bataaun ye chhaati pe lahraane vaalon se puchho
bichhaDnaa bhi tumhaaraa jite-ji ki maut hai goyaa
use kyaa khaak lutf-e-zindagi jis se judaa tum ho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main kahaan tak dil-e-saada ko bhaTakne se bachaaun
aankh jab uTThe gunahgaar banaa de mujh ko
kyaa jazb-e-ishq mujh se ziyaada thaa ghair mein
us kaa habib us se judaa kyuun nahin huaa
sah lungaa ai 'habib' sitam-haa-e-rozgaar
haasil agar ho dost ki pyaari nazar mujhe