Shayari
tujhe kyaa khabar mire be-khabar miraa silsila koi aur hai
jo mujhi ko mujh se baham kare vo gurez-paa koi aur hai
shahr mein kis se sukhan rakhiye kidhar ko chaliye
itni tanhaai to ghar mein bhi hai ghar ko chaliye
شہر میں کس سے سخن رکھیے کدھر کو چلیے
اتنی تنہائی تو گھر میں بھی ہے گھر کو چلیے
शहर में किस से सुख़न रखिए किधर को चलिए
इतनी तन्हाई तो घर में भी है घर को चलिए

tujhe kyaa khabar mire be-khabar miraa silsila koi aur hai
jo mujhi ko mujh se baham kare vo gurez-paa koi aur hai
ye ruuh raqs-e-charaaghaan hai apne halqe mein
ye jism saaya hai aur saaya Dhal rahaa hai miyaan
usi ne mujh pe uThaae hain sang jis ke liye
main paash paash huaa ghar nigaar-khaana huaa
milne ki tarah mujh se vo pal bhar nahin miltaa
dil us se milaa jis se muqaddar nahin miltaa
kuchh roz nasir aao chalo ghar mein rahaa jaae
logon ko ye shikva hai ki ghar par nahin miltaa
ye havaa saare charaaghon ko uDaa le jaaegi
raat Dhalne tak yahaan sab kuchh dhuaan ho jaaegaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
koi sadi miri muntazir hai kisi sadi se guzar rahaa huun
main ek manzar mein ji uThungaa main ek manzar mein mar rahaa huun
us kaa chehraa udaas hai 'maajid'
aaine par nazar gai hogi
kaun saa dard utar aayaa hai tahriron mein
saare alfaaz janaaze ki tarah lagte hain