Shayari
vo shakhs yaadon kaa mujh ko ghulaam karte hue
gayaa bhi to miri nindein haraam karte hue
kaun saa dard utar aayaa hai tahriron mein
saare alfaaz janaaze ki tarah lagte hain
کون سا درد اتر آیا ہے تحریروں میں
سارے الفاظ جنازے کی طرح لگتے ہیں
कौन सा दर्द उतर आया है तहरीरों में
सारे अल्फ़ाज़ जनाज़े की तरह लगते हैं

vo shakhs yaadon kaa mujh ko ghulaam karte hue
gayaa bhi to miri nindein haraam karte hue
hadd-e-nazar tak ek dariche se aaj phir
main jaa rahaa thaa aur koi dekhtaa rahaa
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shakhs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
musalsal sochte rahte hain tum ko
tumhein jiine ki aadat ho gai hai
so apne shahr ke raunaq ki khair maangnaa tum
main apne gaanv se ik shaam le ke aa rahaa huun
ab ibaadat mein bhi aa jaate ho lab par mere
itnaa paDhtaa huun tumhein hijr ke lamhon mein ki bas
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate