Shayari
dil is tarah havaa-e-mohabbat mein jal gayaa
bhaDki kahin na aag na uTThaa dhuaan kahin
sahar ko uThte hain vo dekh kar kaf-e-rangin
ab aaine pe bhi sikke hinaa ke baiTh gae
سحر کو اٹھتے ہیں وہ دیکھ کر کف رنگیں
اب آئنے پہ بھی سکے حنا کے بیٹھ گئے
सहर को उठते हैं वो देख कर कफ़-ए-रंगीं
अब आइने पे भी सिक्के हिना के बैठ गए

dil is tarah havaa-e-mohabbat mein jal gayaa
bhaDki kahin na aag na uTThaa dhuaan kahin
banaayaa toD ke aaina aaina-khaana
na dekhi raah jo khalvat se anjuman ki taraf
nashshe mein sujhti hai mujhe duur duur ki
naddi vo saamne hai sharaab-e-tuhur ki
loTte rahte hain mujh par chaahne vaalon ke dil
varna yuun poshaak teri malgaji hoti nahin
uD ke jaati hai miri khaak idhar gaah udhar
kuchh pataa de na gai umr-e-gurezaan apnaa
bichhaD ke tujh se mujhe hai umiid milne ki
sunaa hai ruuh ko aanaa hai phir badan ki taraf
vasl ki raat ke sivaa koi shaam
saath le kar sahar nahin aati
nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai
aaj yaaron ko mubaarak ho ki subh-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilrubaa hai diid hai
jo dekhiye to zamaana hai tez-rau kitnaa
tulu-e-subh abhi hai to vaqt-e-shaam abhi
qismat ki tirgi ki kahaani na puchhiye
subh-e-vatan bhi shaam-e-gharibaan hai aaj kal
rang-e-shikasta subh-e-bahaar-e-nazaara hai
ye vaqt hai shaguftan-e-gul-haa-e-naaz kaa