Shayari
zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
kal tire ehsaas ki baarish tale
meraa sunaa-pan nahaayaa der tak

zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa
mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage
maaro patthar bhi to nahin hiltaa
jam chukaa hai ab is qadar paani
kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte
tire vajud ko chhu le to phir mukammal ho
bhaTak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh mein
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
baadalon ne aaj barsaayaa lahu
amn kaa har faakhta rone lagaa
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
maaein darvaazon par hain
baarish hone vaali hai
vo gulaabi baadalon mein ek niili jhiil si
hosh qaaem kaise rahte thaa hi kuchh aisaa libaas