Shayari
hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
زخم بھی اب حسین لگتے ہیں
تیرے ہاتھوں فریب کھانے پر
ज़ख़्म भी अब हसीन लगते हैं
तेरे हाथों फ़रेब खाने पर

hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
tire vajud ko chhu le to phir mukammal ho
bhaTak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh mein
kal tire ehsaas ki baarish tale
meraa sunaa-pan nahaayaa der tak
miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa
mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage
maaro patthar bhi to nahin hiltaa
jam chukaa hai ab is qadar paani
kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte
yaar main itnaa bhukaa huun
dhokaa bhi khaa letaa huun
mere baa'd vafaa kaa dhokaa aur kisi se mat karnaa
gaali degi duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaaegaa
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
is qadar musalsal thiin shiddatein judaai ki
aaj pahli baar us se main ne bevafaai ki
ek parda saa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhnaa kyaa hai
bahut fareb se ham vahshiyon ko vahshat hai
hamaare dasht mein 'naasikh' kahin saraab nahin