Shayari
kal tire ehsaas ki baarish tale
meraa sunaa-pan nahaayaa der tak
hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
حسرت موسم گلاب ہوں میں
سچ نہ ہو پائے گا وہ خواب ہوں میں
हसरत-ए-मौसम-ए-गुलाब हूँ मैं
सच न हो पाएगा वो ख़्वाब हूँ मैं

kal tire ehsaas ki baarish tale
meraa sunaa-pan nahaayaa der tak
zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa
mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage
maaro patthar bhi to nahin hiltaa
jam chukaa hai ab is qadar paani
kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte
tire vajud ko chhu le to phir mukammal ho
bhaTak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh mein
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
kabhi faaslon ki masaafaton pe ubuur ho to ye kah sukun
miraa jurm hasrat-e-qurb hai to yahi kami yahaan sab mein hai
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
hai ek umr se khvaahish ki duur jaa ke kahin
main khud ko ajnabi logon ke darmiyaan dekhun
abhi hain qurb ke kuchh aur marhale baaqi
ki tujh ko paa ke hamein phir tiri tamannaa hai
tiraa visaal baDi chiiz hai magar ai dost
visaal ko miri duniyaa-e-aarzu na banaa