Shayari
zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa
mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage
مری پیاس کا ترانہ یوں سمجھ نہ آ سکے گا
مجھے آج سن کے دیکھو مری خاموشی سے آگے
मिरी प्यास का तराना यूँ समझ न आ सकेगा
मुझे आज सुन के देखो मिरी ख़ामोशी से आगे

zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
tire vajud ko chhu le to phir mukammal ho
bhaTak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh mein
kal tire ehsaas ki baarish tale
meraa sunaa-pan nahaayaa der tak
maaro patthar bhi to nahin hiltaa
jam chukaa hai ab is qadar paani
kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
kyaa khuub tum ne ghair ko bosa nahin diyaa
bas chup raho hamaare bhi munh mein zabaan hai
fazaa udaas hai rut muzmahil hai main chup huun
jo ho sake to chalaa aa kisi ki khaatir tu
pachpan baras ki umr to hone ko aa gai
lekin vo chehra aaankhon se ojhal na ho sakaa
jitne bikhre hue kaaghaz hain vo yakjaa kar le
raat chupke se kahaa aa ke havaa ne ham se