Shayari
zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
tire vajud ko chhu le to phir mukammal ho
bhaTak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh mein
ترے وجود کو چھو لے تو پھر مکمل ہو
بھٹک رہی ہے خوشی کب سے در بدر مجھ میں
तिरे वजूद को छू ले तो फिर मुकम्मल हो
भटक रही है ख़ुशी कब से दर-ब-दर मुझ में

zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
kal tire ehsaas ki baarish tale
meraa sunaa-pan nahaayaa der tak
miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa
mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage
maaro patthar bhi to nahin hiltaa
jam chukaa hai ab is qadar paani
kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
vo to khushbu hai har ik samt bikharnaa hai use
dil ko kyuun zid hai ki aaghosh mein bharnaa hai use
chaman mein khushk-saali par hai khush sayyaad ki ab khud
parinde peT ki khaatir asir-e-daam hote hain
jab bhi tiri qurbat ke kuchh imkaan nazar aae
ham khush hue itne ki pareshaan nazar aae
nahin karte vo baatein aalam-e-ruyaa mein bhi ham se
khushi ke khvaab bhi dekhein to be-taabir hote hain