Shayari
ye dil vaalon se puchho is ko dil vaale samajhte hain
bigaaD aai havaa zulfein kisi ki yaa sanvaar aai
tu ne vo soz diyaa hai ki ilaahi tauba
zindagi aag ke shoalon mein basar hoti hai
تو نے وہ سوز دیا ہے کہ الٰہی توبہ
زندگی آگ کے شعلوں میں بسر ہوتی ہے
तू ने वो सोज़ दिया है कि इलाही तौबा
ज़िंदगी आग के शोलों में बसर होती है

ye dil vaalon se puchho is ko dil vaale samajhte hain
bigaaD aai havaa zulfein kisi ki yaa sanvaar aai
kitne pur-haul andheron se guzar kar ai dost
ham tire husn ki rakhshanda sahar tak pahunche
yaqinan rahbar-e-manzil kahin par raastaa bhulaa
vagarna qaafile ke qaafile gum ho nahin sakte
aa dost saath aa dar-e-maazi se maang laaein
vo apni zindagi ki javaan bhi hasin bhi thi
dil mein kyaa kyaa gumaan guzarte hain
muskuraao na baat se pahle
subh bichhaD kar shaam kaa vaada shaam kaa honaa sahal nahin
un ki tamannaa phir kar lenaa subh ko pahle shaam karo
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai