Shayari
ab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
N
Nizam Rampurigar koi puchhe mujhe aap ise jaante hain
ho ke anjaan vo kahte hain kahin dekhaa hai
گر کوئی پوچھے مجھے آپ اسے جانتے ہیں
ہو کے انجان وہ کہتے ہیں کہیں دیکھا ہے
गर कोई पूछे मुझे आप इसे जानते हैं
हो के अंजान वो कहते हैं कहीं देखा है
ab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
jo kuchh ishaare hote hain sab dekhtaa huun main
saari sharaarat aap ki meri nazar mein hai
sach hai 'nizaam' yaad bhi us ko na honge ham
par kyaa karein vo ham se bhulaayaa na jaaegaa
teraa milnaa to hai mushkil magar itnaa to huaa
apnaa marnaa mujhe aasaan na huaa thaa so huaa
main na kahtaa thaa ki bahkaaenge tum ko dushman
tum ne kis vaaste aanaa mire ghar chhoD diyaa
uThtaa huun us ki bazm se jab ho ke naa-umid
phir phir ke dekhtaa huun koi ab pukaar le
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
apne hi aap se is tarah hue hain rukhsat
saans ko chhoD diyaa jis samt bhi jaanaa chaahe
main ne jaanaa thaa qalam-band karegaa do harf
shauq ke likhne kaa 'sajjaad' ne kholaa daftar