Shayari
havaa mein jab uDaa parda to ik bijli si kaundi thi
khudaa jaane tumhaaraa partav-e-rukhsaar thaa kyaa thaa
dekhne vaale ye kahte hain kitaab-e-dahr mein
tu saraapaa husn kaa naqsha hai main tasvir-e-ishq
دیکھنے والے یہ کہتے ہیں کتاب دہر میں
تو سراپا حسن کا نقشہ ہے میں تصویر عشق
देखने वाले ये कहते हैं किताब-ए-दहर में
तू सरापा हुस्न का नक़्शा है मैं तस्वीर-ए-इश्क़

havaa mein jab uDaa parda to ik bijli si kaundi thi
khudaa jaane tumhaaraa partav-e-rukhsaar thaa kyaa thaa
kuchh to kami ho roz-e-jazaa ke azaab mein
ab se piyaa kareinge milaa kar gulaab mein
baal rukhsaaron se jab us ne haTaae to khulaa
do farangi sair ko nikle hain mulk-e-shaam se
agar lohe ke gumbad mein rakheinge aqrabaa un ko
vahin pahunchaaegaa aashiq kisi tadbir se kaaghaz
na aayaa kar ke vaada vasl kaa iqraar thaa kyaa thaa
kisi ke bas mein thaa majbur thaa laachaar thaa kyaa thaa
pi baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ru
main surkh huun tum surkh zamin surkh zamaan surkh
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bahut hi kam ko mili hain mohabbatein 'jaanif'
ziyaada-tar ko to mahbub ne du'aa di hai
jiite ji aur tark-e-mohabbat
mar jaanaa aasaan nahin hai
yuun mohabbat se na ham khaana-ba-doshon ko bulaa
itne saada hain ki ghar-baar uThaa laaeinge