Shayari
idhar aate un ke qadam dekhte hain
sitam hai ki hai ye karam dekhte hain
jo kahkashaan si nazar aati hain miri aankhein
guzishta shab ke ye aansu hain jo sitaare hue
جو کہکشاں سی نظر آتی ہیں مری آنکھیں
گزشتہ شب کے یہ آنسو ہیں جو ستارے ہوئے
जो कहकशाँ सी नज़र आती हैं मिरी आँखें
गुज़िश्ता शब के ये आँसू हैं जो सितारे हुए

idhar aate un ke qadam dekhte hain
sitam hai ki hai ye karam dekhte hain
bahut milne se aib dikhte hain kam-kam
bahut dekhte hain jo kam dekhte hain
ham sahraa vaale hain badraa ye prem ki rim-jhim aur kahin
aanaa hai yahaan to aaiyo tu jam kar jham-jham karne ke liye
kiije izhaar-e-mohabbat chaahe jo anjaam ho
zindagi mein zindagi jaisaa koi to kaam ho
zaraa si baat nahin hai kisi kaa ho jaanaa
ki umr lagti hai but ko khudaa banaane mein
dil ko honaa hai fanaa rahnaa hai qaaem aql ko
hasti-e-aadam kahaan jaae ye fitrat chhoD kar
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin