Shayari
tafsil-e-inaayaat to ab yaad nahin hai
par pahli mulaaqaat ki shab yaad hai mujh ko
tum samundar ke sahme hue josh ko meraa paighaam denaa
mausam-e-habs mein phir koi aaj taaza havaa chaahtaa hai
تم سمندر کے سہمے ہوئے جوش کو میرا پیغام دینا
موسم حبس میں پھر کوئی آج تازہ ہوا چاہتا ہے
तुम समुंदर के सहमे हुए जोश को मेरा पैग़ाम देना
मौसम-ए-हब्स में फिर कोई आज ताज़ा हवा चाहता है

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
khilaunon ki dukaano raastaa do
mire bachche guzarnaa chaahte hain
hai mohabbat is vatan se apni miTTi se hamein
is liye apnaa kareinge jaan-o-tan qurbaan ham
ab tak khabar na thi ki mohabbat gunaah hai
ab jaan kar gunaah kiye jaa rahaa huun main