Shayari
yaani koi kami nahin mujh mein
yaani mujh mein kami usi ki hai
tumhaare saath kai ranj baanTne hain hamein
so ek din ke liye zindagi se fursat lo
تمہارے ساتھ کئی رنج بانٹنے ہیں ہمیں
سو ایک دن کے لیے زندگی سے فرصت لو
तुम्हारे साथ कई रंज बाँटने हैं हमें
सो एक दिन के लिए ज़िंदगी से फ़ुर्सत लो

yaani koi kami nahin mujh mein
yaani mujh mein kami usi ki hai
khinch laai hai tire dasht ki vahshat varna
kitne dariyaa hi miri pyaas bujhaane aate
ishq thaa aur aqidat se milaa karte the
pahle ham log mohabbat se milaa karte the
yaa unhein aati nahin bazm-e-sukhan-aaraai
yaa hamein bazm ke aadaab nahin aate hain
tamaam shahr giraftaar hai aziyyat mein
kise kahun mire ahbaab ki khabar rakkhe
miri jagah pe koi aur ho to chikh uTThe
main apne aap se itne savaal kartaa huun
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr hi teri guzar jaaegi un ke hal mein
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein