Shayari
judaa ho mujh se miraa yaar ye khudaa na kare
khudaa kisi ke taiin dost se judaa na kare
R
Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuniis zindagi ne saath kisi kaa nahin diyaa
kis bevafaa se tujh ko tamannaa vafaa ki hai
اس زندگی نے ساتھ کسی کا نہیں دیا
کس بے وفا سے تجھ کو تمنا وفا کی ہے
इस ज़िंदगी ने साथ किसी का नहीं दिया
किस बेवफ़ा से तुझ को तमन्ना वफ़ा की है
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
chhoTi hi umr mein allaah vazifa itnaa
abhi kyaa sin hai jo paDhte ho balaa ki tasbih
khizar bhi aap par aashiq hue hain
qazaa aai hayaat-e-jaavidaan ki
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui