Shayari
ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
azal se aaj tak sajde kiye aur ye nahin sochaa
kisi kaa aastaan kyuun hai kisi kaa sang-e-dar kyaa hai
ازل سے آج تک سجدے کئے اور یہ نہیں سوچا
کسی کا آستاں کیوں ہے کسی کا سنگ در کیا ہے
अज़ल से आज तक सज्दे किए और ये नहीं सोचा
किसी का आस्ताँ क्यूँ है किसी का संग-ए-दर क्या है

ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
kaun uThaae ishq ke anjaam ki jaanib nazar
kuchh asar baaqi hain ab tak hairat-e-aaghaaz ke
musaafiraan-e-rah-e-shauq sust-e-gaam ho kyuun
qadam baDhaae hue haan qadam baDhaae hue
aap ke lab pe aur vafaa ki qasam
kyaa qasam khaai hai khudaa ki qasam
apne jalne mein kisi ko nahin karte hain sharik
raat ho jaae to ham shama bujhaa dete hain
gham-e-dauraan ko baDi chiiz samajh rakkhaa thaa
kaam jab tak na paDaa thaa gham-e-jaanaan se hamein
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
us ne do lafz mein jo baatein kahin thi mujh se
us ko main sochne baiThun to zamaane lag jaaein
soch lo kal kahin aansu na bahaane paD jaaein
khuun kaa kyaa hai ragon mein vo yunhi khaultaa hai
tire nazdik aa kar sochtaa huun
main zinda thaa ki ab zinda huaa huun
kab huun aazaad is muhit se main
sochtaa huun ki sochtaa kyon huun