Shayari
ye kaisi siyaasat hai mire mulk pe haavi
insaan ko insaan se judaa dekh rahaa huun
khvaabon se na jaao ki abhi raat bahut hai
pahlu mein tum aao ki abhi raat bahut hai
خوابوں سے نہ جاؤ کہ ابھی رات بہت ہے
پہلو میں تم آؤ کہ ابھی رات بہت ہے
ख़्वाबों से न जाओ कि अभी रात बहुत है
पहलू में तुम आओ कि अभी रात बहुत है

ye kaisi siyaasat hai mire mulk pe haavi
insaan ko insaan se judaa dekh rahaa huun
phir laai hai barsaat tiri yaad kaa mausam
gulshan mein nayaa phuul khilaa dekh rahaa huun
ji bhar ke tumhein dekh luun taskin ho kuchh to
mat shama bujhaao ki abhi raat bahut hai
log karte hain khvaab ki baatein
ham ne dekhaa hai khvaab aankhon se
zulf ki shaam subh chehre ki
yahi mausam janaab de diije
rukh un kaa kahin aur nazar aur taraf hai
kis samt se aati hai qazaa dekh rahaa huun
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
ye sar-ba-mohr botalein hain jo sharaab ki
raatein hain un mein band hamaari shabaab ki
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai