Shayari
chilchilaati-dhup thi lekin thaa saaya ham-qadam
saaebaan ki chhaanv ne mujh ko akelaa kar diyaa
ye kaarobaar-e-mohabbat hai tum na samjhoge
huaa hai mujh ko bahut faaeda khasaare mein
یہ کاروبار محبت ہے تم نہ سمجھوگے
ہوا ہے مجھ کو بہت فائدہ خسارے میں
ये कारोबार-ए-मोहब्बत है तुम न समझोगे
हुआ है मुझ को बहुत फ़ाएदा ख़सारे में

chilchilaati-dhup thi lekin thaa saaya ham-qadam
saaebaan ki chhaanv ne mujh ko akelaa kar diyaa
ham us ki khaatir bachaa na paaeinge umr apni
fuzul-kharchi ki ham ko aadat si ho gai hai
rakhe rakhe ho gae puraane tamaam rishte
kahaan kisi ajnabi se rishta nayaa banaaein
saare manzar hasin lagte hain
duriyaan kam na hon to behtar hai
mujh se kal mahfil mein us ne muskuraa kar baat ki
vo miraa ho hi nahin saktaa ye pakkaa kar diyaa
tire tasavvur ki dhuup oDhe khaDaa huun chhat par
mire liye sardiyon kaa mausam zaraa alag hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
zer-e-shamshir-e-sitam 'mir' taDapnaa kaisaa
sar bhi taslim-e-mohabbat mein hilaayaa na gayaa
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
paas-e-adab se chhup naa sakaa raaz-e-husn-o-‘ishq
jis jaa tumhaaraa naam sunaa sar jhukaa diyaa