Shayari
jo tire khitta-e-be-aab ki khvaahish na banaa
kulbulaataa hai vo dariyaa kisi kohsaar mein gum
ham bhi usi ke saath gae hosh se 'said'
lamha jo qaid-e-vaqt se baahar chalaa gayaa
ہم بھی اسی کے ساتھ گئے ہوش سے سعیدؔ
لمحہ جو قید وقت سے باہر چلا گیا
हम भी उसी के साथ गए होश से 'सईद'
लम्हा जो क़ैद-ए-वक़्त से बाहर चला गया

jo tire khitta-e-be-aab ki khvaahish na banaa
kulbulaataa hai vo dariyaa kisi kohsaar mein gum
us din se paaniyon ki tarah bah rahe hain ham
jis din se pattharon kaa iraada samajh liyaa
kuchh log ibtidaa-e-rifaaqat se qabl hi
aainda ke har ek guzishta tak aa gae
sab karishme taalluqaat ke hain
khaak uDti hai khaak-daan mein kyaa
jal thal kaa khvaab thaa ki kinaare Dubo gayaa
tanhaa kanval bhi jhiil se baahar nikal paDaa
khushk patton mein kisi yaad kaa shoala hai 'said'
main bujhaataa huun magar aag bhaDak jaati hai
iid par masrur hain donon miyaan biivi bahut
ik kharidaari se pahle ik kharidaari ke baad
roza-daaraan-e-judaai kuun kham-e-abru-e-yaar
maah-e-id-e-ramazaan thaa mujhe maalum na thaa
muddaton baa'd kabhi ai nazar aane vaale
iid kaa chaand na dekhaa tiri surat dekhi
ek neamat tire mahjur ke haath aai hai
iid kaa chaand charaagh-e-shab-e-tanhaai hai
naujavaani ki diid kar liije
apne mausam ki iid kar liije
mil ke hoti thi kabhi eid bhi divaali bhi
ab ye haalat hai ki Dar Dar ke gale milte hain