Shayari
ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
main talkhi-e-hayaat se ghabraa ke pi gayaa
gham ki siyaah raat se ghabraa ke pi gayaa
میں تلخی حیات سے گھبرا کے پی گیا
غم کی سیاہ رات سے گھبرا کے پی گیا
मैं तल्ख़ी-ए-हयात से घबरा के पी गया
ग़म की सियाह रात से घबरा के पी गया

ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
kal jinhein chhu nahin sakti thi farishton ki nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain
charaagh-e-tur jalaao baDaa andheraa hai
zaraa naqaab uThaao baDaa andheraa hai
log kahte hain raat biit chuki
mujh ko samjhaao! main sharaabi huun
ye zulf-bar-dosh kaun aayaa ye kis ki aahaT se gul khile hain
mahak rahi hai fazaa-e-hasti tamaam aalam bahaar saa hai
teri surat jo ittifaaq se ham
bhuul jaaein to kyaa tamaashaa ho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
raat ik ujDe makaan par jaa ke jab aavaaz di
guunj uTThe baam-o-dar meri sadaa ke saamne
dard-e-dil kyun-ki kahun main us se
har taraf log ghire baiThe hain
khaDaa huun zer-e-falak gumbad-e-sadaa mein 'munir'
ki jaise haath uThaa ho koi duaa ke liye