Shayari
ahd-e-misaaq kaa laazim hai adab ai vaaiz
hai ye paimaan-e-vafaa rishta-e-zunnaar na toD
kitaab-e-dars-e-majnun mushaf-e-rukhsaar-e-lailaa hai
harif-e-nukta-daan-e-ishq ko maktab se kyaa matlab
کتاب درس مجنوں مصحف رخسار لیلیٰ ہے
حریف نکتہ دان عشق کو مکتب سے کیا مطلب
किताब-ए-दर्स-ए-मजनूँ मुसहफ़-रुख़्सार-ए-लैला है
हरीफ़-ए-नुक्ता-दान-ए-इश्क़ को मकतब से क्या मतलब

ahd-e-misaaq kaa laazim hai adab ai vaaiz
hai ye paimaan-e-vafaa rishta-e-zunnaar na toD
qulzum-e-fikr mein hai kashti-e-imaan saalim
naa-khudaa husn hai aur ishq hai langar apnaa
mil-milaa ke donon ne dil ko kar diyaa barbaad
husn ne kiyaa be-khud ishq ne kiyaa aazaad
jo laa-mazhab ho us ko millat-o-mashrab se kyaa matlab
miraa mashrab hai rindi rind ko mazhab se kyaa matlab
aate hue is tan mein na jaate hue tan se
hai jaan-e-makin ko na lagaavaT na rukaavaT
qadam hai ain hudus aur hudus ain qadam
jo tu na jalve mein aataa to main kahaan hotaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
na aayaa shaam bhi ghar phir ke apne
tamaashaai-e-baazaar-e-mohabbat
jaanib-e-kaaba tu kyuun le gayaa but-khaane se
mujh se divaane ko ai ishq na bahkaanaa thaa
pyaar se dushman ke vo aalam tiraa jaataa rahaa
aise lab chuse ki boson kaa mazaa jaataa rahaa
ai dil-e-shikva-sanj kyaa guzri
kis liye honT rah gae sil ke