Shayari
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
bas ab to daaman-e-dil chhoD do bekaar ummido
bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liyaa main ne
بس اب تو دامن دل چھوڑ دو بیکار امیدو
بہت دکھ سہہ لیے میں نے بہت دن جی لیا میں نے
बस अब तो दामन-ए-दिल छोड़ दो बेकार उम्मीदो
बहुत दुख सह लिए मैं ने बहुत दिन जी लिया मैं ने

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
ham jurm-e-mohabbat ki sazaa paaeinge tanhaa
jo tujh se hui ho vo khataa saath liye jaa
ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
gar jang laazmi hai to phir jang hi sahi
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye to nahin ki tum saa jahaan mein hasin nahin
is dil ko kyaa karun ye bahaltaa kahin nahin
dil le ke palkein phir gaiin zulfon ki aaD mein
ulTe phiri ye fauj sar-e-shaam luuT ke
kaise aa sakti hai aisi dil-nashin duniyaa ko maut
kaun kahtaa hai ki ye sab kuchh fanaa ho jaaegaa
na samjhe ashk-fishaani ko koi maayusi
hai dil mein aag agar aankh mein bhi paani hai