Shayari
sambhal kar paanv rakhnaa vaadi-e-ishq-o-mohabbat mein
yahaan jo sair ko aataa hai bach kar kam nikaltaa hai
gulon ko toDte hain sunghte hain pheink dete hain
ziyaada bhi numaaish husn ki achchhi nahin hoti
گلوں کو توڑتے ہیں سونگھتے ہیں پھینک دیتے ہیں
زیادہ بھی نمائش حسن کی اچھی نہیں ہوتی
गुलों को तोड़ते हैं सूँघते हैं फेंक देते हैं
ज़ियादा भी नुमाइश हुस्न की अच्छी नहीं होती

sambhal kar paanv rakhnaa vaadi-e-ishq-o-mohabbat mein
yahaan jo sair ko aataa hai bach kar kam nikaltaa hai
hoti hai dusron ko hamesha ye naagavaar
apne sivaa kisi ko nasihat na kijiye
ye kyunkar maan lein ulfat hamein karni nahin aati
kiyaa hai kaam hi kyaa aur ulfat ke sivaa ham ne
baDhi hai khaana-e-dil mein kuchh aur taariki
charaagh-e-ishq jalaayaa thaa raushni ke liye
ai shama ahl-e-bazm to baiThe hi rah gae
kahne ki thi jo baat vo parvaana kah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
yaad rakkho ik na ik din saanp baahar aaeinge
aastinon mein unhein kab tak chhupaayaa jaaegaa