Shayari
qurbatein hote hue bhi faaslon mein qaid hain
kitni aazaadi se ham apni hadon mein qaid hain
ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogi yaani
ik dariyaa mein dusri baar utraa nahin jaa saktaa
اب جو لہر ہے پل بھر بعد نہیں ہوگی یعنی
اک دریا میں دوسری بار اترا نہیں جا سکتا
अब जो लहर है पल भर बाद नहीं होगी यानी
इक दरिया में दूसरी बार उतरा नहीं जा सकता

qurbatein hote hue bhi faaslon mein qaid hain
kitni aazaadi se ham apni hadon mein qaid hain
intizaar aur dastakon ke darmiyaan kaTti hai umr
itni aasaani se to baab-e-hunar khultaa nahin
main kisi ke dast-e-talab mein huun to kisi ke harf-e-duaa mein huun
main nasib huun kisi aur kaa mujhe maangtaa koi aur hai
vaqt ruk ruk ke jinhein dekhtaa rahtaa hai 'salim'
ye kabhi vaqt ki raftaar huaa karte the
saae gali mein jaagte rahte hain raat bhar
tanhaaiyon ki oT se jhaankaa na kar mujhe
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
meraa shor-e-gharqaabi khatm ho gayaa aakhir
aur rah gayaa baaqi sirf shor dariyaa kaa
pistaan ko tere dekh ke miT jaae phir hubaab
dariyaa mein taa-ba-sina agar tu nahaae subh
lab-e-dariyaa pe dekh aa kar tamaashaa aaj holi kaa
bhanvar kaale ke daf baaje hai mauj ai yaar paani mein
bahtaa huun main dariyaa ki ravaani se kahin duur
ik pyaas mujhe laai thi paani se kahin duur
qatre ki juraton ne sadaf se liyaa khiraaj
dariyaa samundaron mein mile aur mar gae