Shayari
ai shaikh apnaa jubba-e-aqdas sambhaaliye
mast aa rahe hain chaak garebaan kiye hue
go ham sharaab piite hamesha hain de ke naqd
lekin mazaa kuchh aur hi paayaa udhaar mein
گو ہم شراب پیتے ہمیشہ ہیں دے کے نقد
لیکن مزا کچھ اور ہی پایا ادھار میں
गो हम शराब पीते हमेशा हैं दे के नक़्द
लेकिन मज़ा कुछ और ही पाया उधार में

ai shaikh apnaa jubba-e-aqdas sambhaaliye
mast aa rahe hain chaak garebaan kiye hue
maza dekhaa kisi ko ai pari-ru munh lagaane kaa
ab aaina bhi kahtaa hai ki main madd-e-muqaabil huun
phaaD kar khat us ne qaasid se kahaa
koi paighaam-e-zabaani aur hai
shaikh chal tu sharaab-khaane mein
main tujhe aadmi banaa dungaa
tum jaao raqibon kaa karo koi mudaavaa
ham aap bhugat leinge ki jo ham pe bani hai
aage mere na tikhi maar ai shaikh
raat kaa maajraa sunaa dungaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
agar khamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai
jo kuchh kahaa to tiraa husn ho gayaa mahdud
kuchh to apne liye bhi rakhnaa hai
zakhm auron ko kyuun dikhaaein sab
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahin kabhi
ye jaam ikhtiyaar nahin kar rahaa huun main
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye