Shayari
yuun to mumkin nahin dushman mire sar par pahunche
pahre-daaron mein koi aankh jhapak jaataa hai
safar kaa ek nayaa silsila banaanaa hai
ab aasmaan talak raasta banaanaa hai
سفر کا ایک نیا سلسلہ بنانا ہے
اب آسمان تلک راستہ بنانا ہے
सफ़र का एक नया सिलसिला बनाना है
अब आसमान तलक रास्ता बनाना है

yuun to mumkin nahin dushman mire sar par pahunche
pahre-daaron mein koi aankh jhapak jaataa hai
mataa-e-jaan hain miri umr bhar kaa haasil hain
vo chand lamhe tire qurb mein guzaare hue
mujhe ye zid hai kabhi chaand ko asiir karun
so ab ke jhiil mein ik daaera banaanaa hai
vo ek tu ki tire gham mein ik jahaan roe
vo ek main ki miraa koi rone vaalaa nahin
ik aisaa vaqt bhi sahraa mein aane vaalaa hai
ki raasta yahaan dariyaa banaane vaalaa hai
kisi ne dekh liyaa thaa jo saath chalte hue
pahunch gai hai kahaan jaane baat chalte hue
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
na mohtasib ki khushaamad na mai-kade kaa tavaaf
khudi mein mast huun apni bahaar mein gum huun
tujhe manaaun ki apni anaa ki baat sunun
ulajh rahaa hai mire faislon kaa resham phir
jo yahaan khud hi lagaa rakkhi hai chaaron jaanib
ek din ham ne isi aag mein jal jaanaa hai
na vaaiz hajv kar ek din duniyaa se jaanaa hai
are munh saaqi-e-kausar ko bhi aakhir dikhaanaa hai