Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
dil dekhte hi us ko giraftaar ho gayaa
rusvaa-e-shahr-o-kucha-o-baazaar ho gayaa
دل دیکھتے ہی اس کو گرفتار ہو گیا
رسوائے شہر و کوچہ و بازار ہو گیا
दिल देखते ही उस को गिरफ़्तार हो गया
रुस्वा-ए-शहर-ओ-कूचा-ओ-बाज़ार हो गया

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil bhalaa aashiqon ke paas kahaan
aap hi chin-chaan lete hain
aaine se mujh dal ke tahayyur ko milaa dekh
ye donon baraabar hain koi besh na kam hai
dil ki udaasiyon kaa koi sabab nahin hai
bas ye sabab hai mere dil ki udaasiyon kaa
tire intizaar mein is tarah miraa ahad-e-shauq guzar gayaa
sar-e-shaam jaise bisaat-e-dil koi khasta-haal sameT le