Shayari
aalam mein jis ki dhuum thi us shaahkaar par
dimak ne jo likhe kabhi vo tabsire bhi dekh
bhigi hui ik shaam ki dahliz pe baiThe
ham dil ke sulagne kaa sabab soch rahe hain
بھیگی ہوئی اک شام کی دہلیز پہ بیٹھے
ہم دل کے سلگنے کا سبب سوچ رہے ہیں
भीगी हुई इक शाम की दहलीज़ पे बैठे
हम दिल के सुलगने का सबब सोच रहे हैं

aalam mein jis ki dhuum thi us shaahkaar par
dimak ne jo likhe kabhi vo tabsire bhi dekh
dil saa anmol ratan kaun kharidegaa 'shakeb'
jab bikegaa to ye be-daam hi bik jaaegaa
rote hain dil ke zakhm to hanstaa nahin koi
itnaa to faaeda mujhe tanhaaiyon se hai
khud apni aag se shaayad gudaaz ho jaaein
paraai aag se kab sang-dil pighalte hain
ham-safar rah gae bahut pichhe
aao kuchh der ko Thahar jaaein
jo motiyon ki talab ne kabhi udaas kiyaa
to ham bhi raah se kankar sameT laae bahut
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
phir aaj kaise kaTegi pahaaD jaisi raat
guzar gayaa hai yahi baat sochte hue din
pahle us ki aankhein sochi jaati hain
phir aankhon mein raat bitaai jaati hai
yaad aati hai achchhi si koi baat sar-e-shaam
phir subh talak sochte rahte hain vo kyaa thi
mujh ko ye soch hai jiite hain ve kyun-kar yaa-rab
apne maashuqon se jo shakhs judaa rahte hain