Shayari
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
takiya-e-makhmali sirhaane rakh
lekin aankhon siin apni khvaab nikaal
تکیۂ مخملی سرہانے رکھ
لیکن آنکھوں سیں اپنی خواب نکال
takiya-e-maḳhmalī sirhāne rakh
lekin āñkhoñ siiñ apnī ḳhvāb nikāl

jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
boltaa huun jo vo bulaataa hai
tan ke pinjre mein us kaa totaa huun
vaqt hai ab namaaz-e-maghrib kaa
chaand rukh lab shafaq hai gesu shaam
tahqiq ki nazar siin aakhir kuun ham ne dekhaa
akasr hain maal vaale kam hain kamaal vaale
masjid vahshat mein paDhtaa hai taraavih-e-junun
mushaf husn-e-pari-rukhsaar jis kuun yaad hai
dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
main ne chaahaa hai tujhe aam se insaan ki tarah
tu miraa khvaab nahin hai jo bikhar jaaegaa
khvaab hi mein nazar aa jaae shab-e-hijr kahin
so mujhe hasrat-e-didaar ne sone na diyaa