Shayari
bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
paD gai kyaa nigah-e-mast tire saaqi ki
laDkhaDaate hue mai-khvaar chale aate hain
پڑ گئی کیا نگہ مست ترے ساقی کی
لڑکھڑاتے ہوئے مے خوار چلے آتے ہیں
पड़ गई क्या निगह-ए-मस्त तिरे साक़ी की
लड़खड़ाते हुए मय-ख़्वार चले आते हैं

bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai
mauj-e-dariyaa se balaa ki chaahiye kashti mujhe
ho jo bilkul naa-muvaafiq vo havaa paidaa karun
dete phirte the hasinon ki gali mein aavaaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairaan ham the
har taraf hashr mein jhankaar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftaar chale aate hain
muntazir tere hain chashm-e-khun-fishaan khole hue
baiThe hain dil bechne vaale dukaan khole hue
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
naamus-e-zindagi gham-e-insaan mein Dhaal kar
suuti hai raat jaam se suraj nikaal kar
aaghaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
''ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai''
kyaa kahein bazm mein kuchh aisi jagah baiThe hain
jaam-e-mai haadsa ban jaae to ham tak pahunche
diin to bachtaa nazar aataa nahin newyork mein
zulf hi apni bachaa le jaaiye hajjaam se